Friday 19 July 2019

Bolti Chiriya

Tere Angan Ki Main Bolti Chiriya




Mere Baba
Tere Angan Ki Main Ek Bolti Chiriya
Teri Aagosh Mein Aa Kar Main
Aksar Gungunati Thi
Barha Hy Muskurati Thi
Teri Baahon Ke Jhule Mein
Tahafuq Ka Mohabat Ka
Bohat Ehsas Paati Thi
Kabhi Baba Ki Ankhein Bheeg Jati
Tu Main Bhi Roo Diya Karti
Mujhe Baahon Mein Wo Bhar Ke Yahi Kehte
Tumhari Ankh Mein Ansoo?
Tumhe Kis Ne Rulaya Hai
Zara Tum Naam Batlao
Ke Us Ki Shamat Ayi Hai
Tu Main Hans Diya Karti
Mere Baba
Tere Angan Ki Main Ek Bolti Chiriya..!
میرے بابا 
تیرے آنگن کی میں اک بولتی چڑیا 
تیری آگوش میں آ کر میں 
اکثر گنگناتی تھی 
بڑھا ہی مسکراتی تھی 
تیری باہوں کے جھولے میں 
تحفظ کا محبت کا 
بہت احساس پاتی تھی 
کبھی بابا کی آنکھیں بھیگ جاتیں 
تو میں بھی رو دیا کرتی 
مجھے باہوں میں وہ بھر کے یہی کہتے 
تمہاری آنکھ میں آنسو ؟
تمہیں کس نے رلایا ہے 
ذرا تم نام بتلاؤ 
کہ اس کی شامت آئی ہے 
تو میں ہنس دیا کرتی 
میرے بابا 
تیرے آنگن کی میں اک بولتی چڑیا  


Thursday 18 July 2019

Kangan by Wasi Shah

Haseen Hath Ka Kangan Hota



Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath
Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein
Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti
Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta
Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta
Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein Meehakta Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota
Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

کاش میں تیرے حسیں ہاتھ کا کنگن ہوتا

تُو بڑے پیار سے بڑے چاوْ سے بڑے مان کے ساتھ
اپنی نازک سی کلائی میں چڑھاتی مجھ ک
اور بےتابی سے فرقت کے خزاں لمحوں میں
تو کسی سوچ میں ڈوبی جو گھماتی مجھ کو
میں تیرے ہاتھ کی خوشبو سے مہک سا جاتا
جب کبھی موڈ میں آ کر مجھے چوما کرتی
تیرے ہونٹوں کی حدت سے دہک سا جاتا
رات کو جب بھی تُو نیندوں کے سفر پر جاتی
مَرمَریں ہاتھ کا اک تکیہ بنایا کرتی
میں ترے کان سے لگ کر کئی باتیں کرتا
تیری زلفوں کو تیرے گال کو چوما کرتا
جب بھی تو بند قبا کھولنے لگتی جاناں
کاپنی آنکھوں کو ترے حُسن سے خیرہ کرتا
مجھ کو بےتاب سا رکھتا تیری چاہت کا نشہ
میں تری روح کے گلشن میں مہکتا رہتا
میں ترے جسم کے آنگن میں کھنکتا رہتا
کچھ نہیں تو یہی بے نام سا بندھن ہوتا
کاش میں تیرے حسیں ہاتھ کا کنگن ہوتا

Tuesday 9 July 2019

2 Line Romantic Status Poetry

Ik Tabassum 



اک تبسم ہزار شکووں کا
پیارا جواب ہوتا ہے کتنا 

Ik Tabassum Hazaar Shikwon Ka
Kitna Pyara Jawab Hota Hai


Dhanak Ke Saat Rangon Se




دھنک کے سات رنگوں سے عشق تشکیل ہوتا ہے

بڑے بے زوق ہوں گے جو اسے بے رنگ کہتے ہیں

Dhanak ke saat rangon se ishq tashqeel hota hai
Barhe be'zoaq hon ge ju issey be'rang kehte hain

Husan Poetry

Kitne Haseen Log The



کتنے حسین لوگ تھے جو مل کے ایک بار ہی
آنکھوں میں جذب ہو گئے دل میں سما گئے
Kitne Haseen Log The Ju Mil Ke Ek Bar Hy
Ankhon Mein Jazab Ho Gaye Dil Mein Samaa Gaye

Friday 5 July 2019

Baap Ke Naam

Mujh Ko Chhaon Mein Rakha


Mujh Ko Chhaon Mein Rakha Aur Khud Jalta Raha Dhoop Mein

Main Ne Dekha Ek Farishta Baap Ke Roop Mein

Sad Love Poetry

Junoon-e-Ishq



Junoon e Ishq Ke Hote Hain Mukhtalif Adaab
Kisi Ko Hijr, Kisi Ko Wisaal Deta Hai..........!

جنون عشق کے ہوتے ہیں مختلف آداب
کسی کو ہجر کسی کو وصال دیتا ہے

Zulm Dono Par


Dhaya Hai Khuda Ne Iss Tarah Zulm Dono Par
Tumhein Husn Dey Kar, Mujhe Ishq Dey Kar

ڈھایا ہے خدا نے اسطرح ظلم دونوں پر
تمہیں حُسن دےکر مجھے عشق دےکر