Monday 9 October 2023

Random 2 lines Poetry

Ek Hy Baar Nazar Parhti Hai

ایک ہی بار نظر پڑتی ہے ان پر تابش

اور پھر وہ ہی لگاتار نظر آتے ہیں

Ek hy baar nazar parhti hai un par Tabish
Aur phir wo hy laga'taar nazar atey hain

Wednesday 19 August 2020

Umeed Fazli Poetry

 Kisi Aur Se Tu Kya Guftagu Karein


Kisi Aur Se Tu Kya Guftagu Karein Dil Ki

Ke Raat Sun Na Sake Hum Bhi Dharkanein Dil Ki

Magar Yeh Baat Khirad Ki Samjh Mein Na Aa Saki

Visaal-o-Hijr Se Agay Hain Manzilein Dil Ki

Jalou Mein Khuwab’numa Rat’Jage Sajaye Huwey

Kahan Kahan Liye Phirti Hain Wehshatein Dil Ki

Nigah Milte Hy Rang-e-haya Ki Surat Hain

Chhalak Uthein Tere Rukh Se Latafatein Dil Ki

Nigah-e-Kam Bhi Usey Sang Se Ziada Hai

Ke Aaine Se Siva Hain Nazakatein Dil Ki

Dayar-e-harf-o-nawa Mein Koi Tou Aisa Ho

Kabhi Kisi Se Tu Hum Baat Kar Sakein Dil Ki

Sar-e-Jarida-e-hasti Hamare Baad Umeed

Lahu Se Kaun Likhe Ga Ibaratein Dil Ki



Hijab Uthein Hain 



Hijab Uthein Hain Lekin Wo Ru-ba-Ru Tou Nahi

Shariq-e-ishq Kahin Koi Arzoo Tou Nahi

Yeh Khud-e-farebi-e-ehsas-e-arzoo Tou Nahi

Teri Talash Kahin Apni Justaju Tou Nahi

Sukut Wo Bhi Musalsal Sukut Kya Maani

Kahin Yahi Tera Andaz-e-Guftagu Tou Nahi

Unhein Bhi Kar Diya Betab-e-arzoo Kis Ne

Meri Nigah-e-Mohabat Kahin yeh Tu Tou Nahi

Kahan Yeh Ishq Ka Aalam Kahan Wo Husn-e-tamam

Yeh Sochta Hoon Ke Main Apne Ru-ba-Ru Tou Nahi

Nigah-e-Shauq Se Ghafil Samjh Na Jalwoun Ko

Sharab Kuch Bhi Ho Be-gana-e-subu Tou Nahi

Khushi Se Tarq-e-Mohabat Ka Ehd Le Ayi Dost

Magar Yeh Dekh Tera Dil Lahu Lahu Tou Nahi

Na Gard-e-rah Hai Rukh Par Na Ankh Mein Ansoo

Yeh Justaju Bhi Sahi Us Ki Justaju Tou Nahi

Chaman Mein Rakhte Hain Kaante Bhi Ek Muqaam Ay Dost

Daqat Gulon Se Hy Gulshan Ki Abroo Tou Nahi


Mohabat Ap Jaisi Hai by Muhammad Hafeez Javed

 Mohabat Ap Jaisi hai


Mohabbat Rangon Ki Titli Hai

Ju Khushbo Dhund Leti Hai

Yeh Sare Lafz Jhoote Hain

Agar Sach Hai Tu Bas Yeh hai

Mohabat Bas Ap Jaisi Hai

Kabhi Gum'sum Kabhi Chanchal

Kabhi Jugnu Kabhi Koyal

Kabhi Yeh Neend Jaisi Hai

Kabhi Yeh Khuwab Jaisi Hai

Haan Mohabat Ap Jaisi Hai


Teri Zulf Ka Kundal By Athar Shah Khan Jaidi

 Teri Zulf Ka Kundal



Yeh Teri Zulf Ka Kundal Tou Mujhe Maar Chala

Jis Pe Qanun Bhi Lagou Ho Wo Hathiyar Chala

Pait Hy Phul Gaya Itne Khamire Kha Kar

Teri Hikmat Na Chali Aur Tera Beemar Chala

Biwiyan Chaar Hain Aur Phir Bhi Haseenon se Shagaf

Bhai Tu Beth Ke Araam Se Ghar’baar Chala

Ujrat-e-ishq Nahin Deta Na De Bharh Mein ja

Le Tere Daam Se Ab Tera Giraftar Chala

Sansani’Khez Usey Aur Koi Shey Na Mili

Meri Tasveer Se Wo Sham Ka Akhbar Chala

Yeh  Bhi Acha Hai Ke Sehra Mein Bnaya Hai Makaan

Ab Kiraye Pe yahan Saya-e-dewar Chala

Ek Ada’kar Ruka Hai Tu Huwa Utna Hujoom

Murh Ke Dekha Na Kisi Ne Ju Qalamkar Chala

Ched Mehboob Se Le Doobe Gi Kashti Jaldi

Ankh Se Dekh Usey Hath Se Patwar Chala


Sunday 26 April 2020

Suno Janaa! Yun Tanha Ab Akele


Suno Janaa! Yun Tanha Ab Akele
Narrated By Atiqa


Suno Janaa!
Yun Tanha Ab Akele
Raat Bhar Jaga Nahi Jata
Ke Tanha Bojh Chahat Ka 
Tu Ab Uthta Nahi Mujh Se
Suno Suno!
Kya Aisa Ho Nahi Sakta Ke
Adhi Raat Ko
Kuch Dair Sahi..
Tum Agar Jago?
Yeh Chahat Ka Haseen Ek Bojh
Adha Hy Sahi..
Tum Baant Lo Mujh Se
Phir Adha Dard Tum Ley Lo
Phir Adhe Khuwab Tum Dekho
Yeh Dil Ki Beqrari..
Mujh Se Adhi Baant Lo Tum Bhi
Tu Ab Tum Hy Kaho Janaa!
Phir Iss Bar Mohabat Ko..
Tum Adha Baant Lo Ge Na..??

Tum Adha Baant Lo Ge Na..??

For More Urdu Poetry Visit Mehkte Gulaab
Youtube Channel
https://www.youtube.com/channel/UCxEMgtSfvn3x7s61qnwQWuA?view_as=subscriber