Sunday 24 November 2019

Ajeeb Shaks Tha Narrated By Atiqa

Ajeeb Shaks Tha

Narrated By Atiqa



Ajeeb Shaks Tha
Aise Wo Pyar Mangta Tha
Jahan Na Dard Ho
Aisa Daayar Mangta Tha
Ju Mangta Tha Wo Dena

Meri Bisaat Na thi
Ju Mangta Tha Wo Dena
Meri Bisaat Na thi
Wo Meri Rooh Ka Mujh Se
Qaraar Mangta Tha
Usey Garz thi Gulon Se
Na Bulbulon Se Zara
Usey Garz thi Gulon Se
Na Bulbulon Se Zara
Wo Fasl-e-ranj Mein 
Fasl-e-bahar Mangta Tha

Usey Talab Thi
Koi Toot Kar Usey Chahe
Usey Talab Thi
Koi Toot Kar Usey Chahe
Wo Hath Jorh Kar
Ulfat Hazaar Mangta Tha
Mere Khaloos Pe Shayad Tha
Shak Usey 
Mere Khaloos Pe Shayad Tha
Shak Usey

Wafa Ki Raah Mein 
Aitbar Mangta Tha
Ajeeb Shaks Tha
Aise Wo Pyar Mangta Tha
Jahan Na Dard Ho
Aisa Daayar Mangta Tha
Wafa Ki Raah Mein 
Wo Aitbar Mangta Tha


Saturday 23 November 2019

Kuch Logo Ko Pachtawa Bhi Nahi Hota

Kuch Logo Ko Pachtawa Bhi Nahi Hota

Narrated By Atiqa

                               

Kuch logo ko pachtawa
bhi nahi hota
Hum sochte rehte hain
Ke shayad kisi waqt
Unhe ehsas ho ga

Apne manfi rawaiye ka
Lekin aisa nahi hota
Yeh pachtawe bhi
Zarf walon ke liye hote hain
Malamatein bhi
Unhy ke hisey mein ati hain

Be'hiss logo ke pas sirf
apna ap hota hai

Friday 22 November 2019

Yeh Hum Ne Thaan Li Ab

Yeh Hum Ne Thaan Li Ab 

Narrated By Atiqa


Yeh hum ne thaan li ab
Ke duaon se wafaon se
Usey apna nahi karna

Na koi khat likhna hai
Na koi lafz kehna hai
Na ankhon ke darichon mein
Sulagti raat se pehle
Gulabi sham rakhni hai

Na hy sham ka tara
Kisi ke nam ki surat
Kisi ki yad mein kho kar
Khayalon mein sajana hai

Na pholon ko btana hai
Na titli ko satana hai
Na hy un'kahi batein
Nazm kar ke chupani hain

Haan hum ne thaan li ab 
Ke kisi se kuch nahi kehna
Mohabat zaati masla hai