Wednesday 19 August 2020

Umeed Fazli Poetry

 Kisi Aur Se Tu Kya Guftagu Karein


Kisi Aur Se Tu Kya Guftagu Karein Dil Ki

Ke Raat Sun Na Sake Hum Bhi Dharkanein Dil Ki

Magar Yeh Baat Khirad Ki Samjh Mein Na Aa Saki

Visaal-o-Hijr Se Agay Hain Manzilein Dil Ki

Jalou Mein Khuwab’numa Rat’Jage Sajaye Huwey

Kahan Kahan Liye Phirti Hain Wehshatein Dil Ki

Nigah Milte Hy Rang-e-haya Ki Surat Hain

Chhalak Uthein Tere Rukh Se Latafatein Dil Ki

Nigah-e-Kam Bhi Usey Sang Se Ziada Hai

Ke Aaine Se Siva Hain Nazakatein Dil Ki

Dayar-e-harf-o-nawa Mein Koi Tou Aisa Ho

Kabhi Kisi Se Tu Hum Baat Kar Sakein Dil Ki

Sar-e-Jarida-e-hasti Hamare Baad Umeed

Lahu Se Kaun Likhe Ga Ibaratein Dil Ki



Hijab Uthein Hain 



Hijab Uthein Hain Lekin Wo Ru-ba-Ru Tou Nahi

Shariq-e-ishq Kahin Koi Arzoo Tou Nahi

Yeh Khud-e-farebi-e-ehsas-e-arzoo Tou Nahi

Teri Talash Kahin Apni Justaju Tou Nahi

Sukut Wo Bhi Musalsal Sukut Kya Maani

Kahin Yahi Tera Andaz-e-Guftagu Tou Nahi

Unhein Bhi Kar Diya Betab-e-arzoo Kis Ne

Meri Nigah-e-Mohabat Kahin yeh Tu Tou Nahi

Kahan Yeh Ishq Ka Aalam Kahan Wo Husn-e-tamam

Yeh Sochta Hoon Ke Main Apne Ru-ba-Ru Tou Nahi

Nigah-e-Shauq Se Ghafil Samjh Na Jalwoun Ko

Sharab Kuch Bhi Ho Be-gana-e-subu Tou Nahi

Khushi Se Tarq-e-Mohabat Ka Ehd Le Ayi Dost

Magar Yeh Dekh Tera Dil Lahu Lahu Tou Nahi

Na Gard-e-rah Hai Rukh Par Na Ankh Mein Ansoo

Yeh Justaju Bhi Sahi Us Ki Justaju Tou Nahi

Chaman Mein Rakhte Hain Kaante Bhi Ek Muqaam Ay Dost

Daqat Gulon Se Hy Gulshan Ki Abroo Tou Nahi


No comments:

Post a Comment