Tuesday 15 May 2018

Mohabbat

Mohabbat Mohtaaj Kahan


Mohabbat Mohtaaj Kahan _Husn Aur Jawani Ki
Main Tu Umar Ke Har Ehad Mein Chahon ga Tumhe

Punjabi Poetry

Lokan Kolon Seh Nai Hunda


Lokan Kolon Seh Nai Hunda
Sade Ton Ve Reh Nai Hunda
Teeno Veikh Ke Jo Hunda Ae
Rab Di Kasmey Keh Nai Hunda

Tuesday 8 May 2018

Tum Wo Pehli Larki Ho


Tum Wo Pehli Larki Ho



Tum Woh Pehli Ladki Ho...
Jis Ko Dekh Ke Meri Aankhein 
Khawabon Se Bhar Jati Hain...
Pyaar Ki Nilli Kirnein 
Dil Ke Kamre darr ati Hain...

Tum Woh Pehli Ladki Ho...
Jis Ko Dekh Ke 
Mere Dil Ki Khali Tehni Par 
Phool Gulabi Khil Jate Hain...
Jis Ko Dekh Kar Mujh Ko Apni 
Marzi Ke Sare Mausam Mil Jate Hain...

Tum Woh Pehli Ladki Ho...
Jis Ko Dekh Ke 
Saif-ul-Jheel Pe Utri Paryiyan 
Apne Hosh Gawa Sakti Hain...
Jis Ko Dekh Kar Soi Lehrein
 Yak Dam Mojh Mein Aa Sakti Hain...

Tum Woh Pehli Ladki Ho...
Jis Ko Dekh Ke 
Dhoop Ka Har Ek Tukra 
Badal Ho Sakta Hai...
Jis Ko Dekh Ke 
Chand Kisi Shab 
Pora Pagal Ho Sakta Hai...

Tum Woh Pehli Ladki Ho...
Jise Dekh Ke Har 
Ek Pyaar Kahani Sachi Lagti Hai...
Jis Ko Dekh Ke 
Mujh Ko Sari Duniya Achi Lagti Hai...
Tum Woh Pehli Ladki Ho...

Sabz Madham Roshni Mein by Parveen Shakir

Kash Yeh Lamhe Thehar Jayein


Sabz madham roshni main surkh aanchal ki dhanak
sard kamre main machalati garm saanson ki mehak

Baazuon ke sakht halqe main koi nazuk badan
Silvatain malboos per aanchal bhi kuch dhalka hua

Garmi-e-rukhsar se dehki hui thandi hava
Narm zulfon se mulayam ungliyon kii chhed chhad

Surkh honton par shararat ke kisi lamhe ka aks
Reshmi bahon main chudi ki kabhi madham khanak

Sharmagin lehjon main dheere se kabhi chahat ki baat
Do dilon ki dharkanon men gunjti thi ek sada

Kaanpate honton pe thi Allah se sirf ek dua
Kaash ye lamhe thehar javein, thehar jayein zaraa




(By Parveen Shakir)