Tuesday 8 May 2018

Sabz Madham Roshni Mein by Parveen Shakir

Kash Yeh Lamhe Thehar Jayein


Sabz madham roshni main surkh aanchal ki dhanak
sard kamre main machalati garm saanson ki mehak

Baazuon ke sakht halqe main koi nazuk badan
Silvatain malboos per aanchal bhi kuch dhalka hua

Garmi-e-rukhsar se dehki hui thandi hava
Narm zulfon se mulayam ungliyon kii chhed chhad

Surkh honton par shararat ke kisi lamhe ka aks
Reshmi bahon main chudi ki kabhi madham khanak

Sharmagin lehjon main dheere se kabhi chahat ki baat
Do dilon ki dharkanon men gunjti thi ek sada

Kaanpate honton pe thi Allah se sirf ek dua
Kaash ye lamhe thehar javein, thehar jayein zaraa




(By Parveen Shakir)

No comments:

Post a Comment