Thursday 24 October 2019


Ishq Aur Mohabbat

Narrated By Atiqa



Ishq Aur Mohabat
Ek Hy Dori Mein Bandhi
Do Mukhtalif Girhein Hain
Kisi Bhi Muqam Par
Kharey Ho Kar
Inn Mein Se Kisi Ek Ko
Chunna Parhta Hai
Aur Main Kehti Hon
Mohabat Ko Chunna
Insan Ko Bohat Sasta Parhta Hai
Iss Mein Sirf Dil Zakhmi Ho Jata Hai
Magar ishq
Ishq Mein Barhe Siyape Hain
Ishq Barha Mehnga Parhta Hai
Yeh Bande Ki Ragon Mein Dorte
Surkh Khoon Ko Siyah Kar Deta Hai
Yeh Joban Pe Ati Jawani Ka
Lutna Mangta Hai
Yeh Husan Ke Har Ramz Ko
Girvi Rakhna Mangta Hai
Yeh Ankhon Ki Shokhi Ka
Veerani Mein Dhalna Mangta hai
Yeh Honton Ki Muskan Ka
Udasi Mein Rach Jana Mangta Hai
Yeh Dil Ki Dhak Dhak Karti
Dharkano Ka Apahij Ho Jana
Mangta Hai
Yeh Sahi Salum Rooh Ka
Zakhmi Hona Mangta Hai
Yeh Insan Ka Hansi Khushi
Jeetey Jee Marna Mangta
Aur Akhri Dam Tak
Mangta Hai

Thursday 17 October 2019

Mujhe Nafrat Hai


Mujhe Nafrat Hai Apne Hasaas Hone se

 Narrated By Atiqa


Mujhe Nafrat Hai
Apne Hasaas Hone Se
Mujhe Nafrat Hai
Log Mujhse Batein Karein
Aur Mera Khayal Rakhein
Yahan Tak Ke Mujhe
Unki Adat Ho Jaye
Mujhe Nafrat Hai
Ke Main Kisi Ke 
Baare Mein Ziada Sochon
Yahan Tak Ke Main Puri Raat
Kisi Ke Khayal Mein Guzar Doun
Mujhe Nafrat Hai
Iss Ehsas Se Ke 
Main Mehsos Karon Ke
Koi Mujhe Apni Adat Daal Kar
Mujhe Nazar Andaz Kar Raha Hai
Mujhe Nafrat Hai
Apne Hasaas Hone Se

Wednesday 16 October 2019

Usey Kehna Yeh Duniya Hai






Usey Kehna Yeh Duniya Hai

Narrated By Atiqa

Usey Kehna Yeh Duniya Hai
Yahan Har Morh Pe Aise
Bohat Se Log Milte Hain
Ju Andar Tak Utarte Hain
Abad Tak Sath Rehne Ki
Akathe Dard Sehne Ki
Hamesha Baat Karte Hain
Usey Kehna
Yeh Duniya Hai
Yahan Har Shakhs Matlab Ki
Haddon Tak Sath Chalta Hai
Junhy Mausam Badalta Hai
Mohabat Ke Sabhi Daway
Sabhi Qasmein
Sabhi waday
Sabhi Rasmein
Achanak Toot Jati Hain
Usey Kehna
Yeh Duniya Hai
Yahan Har Morh Pe Aise
Bohat Se Log Milte Hain

Wednesday 2 October 2019

Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar By Amar Alvi

Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar Acha Nahi Lagta




Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar Acha Nahi Lagta
Tumhare Bin Hamain Apna Bhi Ghar Acha Nahi Lagta
Tumhare Sang Kanton Par Bhi Chalna Acha Lagta Tha
Tumhare Baad Taaron Ka Safar Acha Nahi Lagta
Sulagti Dhoop Bhi Manzoor Hai Gar Sath Tera Ho
Hijr Mein Lakh Rangeeni Ho Par Acha Nahi Lagta
Na Ayein Jab Talak Chehre Pe Sare Rang Mohabat Ke
Tu Chahe Jitna Ban Sanwar Acha Nahi Lagta
Wo Den Ehd-e-Jawani Ka Amar Hai, Jab Kaha Tum Ne
Amar Se Pyar Hai Mujh Ko, Magar Acha Nahi Lagta


ہو بلبل تو خوشبو کا نگر اچھا نہیں لگتا
تمہارے بن ہمیں اپنا بھی گھر اچھا نہیں لگتا
تمہارے سنگ کانٹوں پر بھی چلنا اچھا لگتا تھا
تمہارے بعد تاروں کا سفر اچھا نہیں لگتا
سلگتی دھوپ بھی منظور ہے گر ساتھ تیرا ہو
ہجر میں لاکھ رنگینی ہو پر اچھا نہیں لگتا
نہ آئیں جب تلک چہرے پہ سارے رنگ محبت کے
تو چاہے جتنا بن سنور اچھا نہیں لگتا
وہ دن عہد جوانی کا امر ہے جب کہا تم نے
 امر سے پیار ہے مجھ کو مگر اچھا نہیں لگتا

Tumhara Den Dhale By Amir Yousaf

Tumhara Den Dhale


Tumhara Den Dhale Jun'hy, Hamari Shaam Kho Jaye
Ke Jaise Mey'kashon Ke Thamte Hy Jaam Kho Jaye
Hamara Dil Akela Ho Tumhari Shaam Kho Jaye
Kabhi Tanha Sunehri Shaam Ki Har Gaam Kho Jaye
Musafir Ki Tarah Bhulein Kabhi Yun'hy Sar-e-manzil
Ke Nikle Chand Badal Se Magar Wo Baam Kho Jaye
Haya'on Ki Ridaa Orhey Kabhi Yun Dil Mein Tum Utaro
Farishton Ki Tarah Hum Hoon Magar Alhaam Kho Jaye
Tumhy Ko Dhundne Phir Chand Bhi Jab Baam Se Nikle
Shajar Chup Chap Hon Aur Raaston Mein Shaam Kho Jaye
Sitare Chand Ko Bhulein Kahan, Labb Phool Bhi Kholein
Kisi Ka Chehra Kho Jaye, Kisi Ka Naam Kho Jaye
Safar Mein Har Gharhi Kuch Pal Hamare Sath Chalte Hain
Tumhari Yaad Ho Aur Sanwali Si Shaam Kho Jaye

تمہارا دن ڈھلے جونہی ہماری شام کھو جائے
کہ جیسے مہ کشوں کے تھامتے ہی جام کھو جائے
ہمارا دل اکیلا ہو تمہاری شام کھو جائے
کبھی تنہا سنہری شام کی ہر گام کھو جائے
مسافر کی طرح بھولیں کبھی یونہی سرِ منزل
کہ نکلے چاند بادل سے مگر وہ بام کھو جائے
حیاؤں کی ردا اوڑھے کبھی یوں دل میں تم اترو
فرشتوں کی طرح ہم ہوں مگر الہام کھو جائے
تمہی کو ڈھونڈنے پھر چاند بھی جب بام سے نکلے
شجر چپ چاپ ہوں اور راستوں میں شام کھو جائے
ستارے چاند کو بھولیں کہاں لب پھول بھی کھولیں
کسی کا چہرہ کھو جائے کسی کا نام کھو جائے
سفر میں ہر گھڑی کچھ پل ہمارے ساتھ چلتے ہیں
تمہاری یاد ہو اور سانولی سی شام کھو جائے