Sunday 24 November 2019

Ajeeb Shaks Tha Narrated By Atiqa

Ajeeb Shaks Tha

Narrated By Atiqa



Ajeeb Shaks Tha
Aise Wo Pyar Mangta Tha
Jahan Na Dard Ho
Aisa Daayar Mangta Tha
Ju Mangta Tha Wo Dena

Meri Bisaat Na thi
Ju Mangta Tha Wo Dena
Meri Bisaat Na thi
Wo Meri Rooh Ka Mujh Se
Qaraar Mangta Tha
Usey Garz thi Gulon Se
Na Bulbulon Se Zara
Usey Garz thi Gulon Se
Na Bulbulon Se Zara
Wo Fasl-e-ranj Mein 
Fasl-e-bahar Mangta Tha

Usey Talab Thi
Koi Toot Kar Usey Chahe
Usey Talab Thi
Koi Toot Kar Usey Chahe
Wo Hath Jorh Kar
Ulfat Hazaar Mangta Tha
Mere Khaloos Pe Shayad Tha
Shak Usey 
Mere Khaloos Pe Shayad Tha
Shak Usey

Wafa Ki Raah Mein 
Aitbar Mangta Tha
Ajeeb Shaks Tha
Aise Wo Pyar Mangta Tha
Jahan Na Dard Ho
Aisa Daayar Mangta Tha
Wafa Ki Raah Mein 
Wo Aitbar Mangta Tha


Saturday 23 November 2019

Kuch Logo Ko Pachtawa Bhi Nahi Hota

Kuch Logo Ko Pachtawa Bhi Nahi Hota

Narrated By Atiqa

                               

Kuch logo ko pachtawa
bhi nahi hota
Hum sochte rehte hain
Ke shayad kisi waqt
Unhe ehsas ho ga

Apne manfi rawaiye ka
Lekin aisa nahi hota
Yeh pachtawe bhi
Zarf walon ke liye hote hain
Malamatein bhi
Unhy ke hisey mein ati hain

Be'hiss logo ke pas sirf
apna ap hota hai

Friday 22 November 2019

Yeh Hum Ne Thaan Li Ab

Yeh Hum Ne Thaan Li Ab 

Narrated By Atiqa


Yeh hum ne thaan li ab
Ke duaon se wafaon se
Usey apna nahi karna

Na koi khat likhna hai
Na koi lafz kehna hai
Na ankhon ke darichon mein
Sulagti raat se pehle
Gulabi sham rakhni hai

Na hy sham ka tara
Kisi ke nam ki surat
Kisi ki yad mein kho kar
Khayalon mein sajana hai

Na pholon ko btana hai
Na titli ko satana hai
Na hy un'kahi batein
Nazm kar ke chupani hain

Haan hum ne thaan li ab 
Ke kisi se kuch nahi kehna
Mohabat zaati masla hai

Thursday 24 October 2019


Ishq Aur Mohabbat

Narrated By Atiqa



Ishq Aur Mohabat
Ek Hy Dori Mein Bandhi
Do Mukhtalif Girhein Hain
Kisi Bhi Muqam Par
Kharey Ho Kar
Inn Mein Se Kisi Ek Ko
Chunna Parhta Hai
Aur Main Kehti Hon
Mohabat Ko Chunna
Insan Ko Bohat Sasta Parhta Hai
Iss Mein Sirf Dil Zakhmi Ho Jata Hai
Magar ishq
Ishq Mein Barhe Siyape Hain
Ishq Barha Mehnga Parhta Hai
Yeh Bande Ki Ragon Mein Dorte
Surkh Khoon Ko Siyah Kar Deta Hai
Yeh Joban Pe Ati Jawani Ka
Lutna Mangta Hai
Yeh Husan Ke Har Ramz Ko
Girvi Rakhna Mangta Hai
Yeh Ankhon Ki Shokhi Ka
Veerani Mein Dhalna Mangta hai
Yeh Honton Ki Muskan Ka
Udasi Mein Rach Jana Mangta Hai
Yeh Dil Ki Dhak Dhak Karti
Dharkano Ka Apahij Ho Jana
Mangta Hai
Yeh Sahi Salum Rooh Ka
Zakhmi Hona Mangta Hai
Yeh Insan Ka Hansi Khushi
Jeetey Jee Marna Mangta
Aur Akhri Dam Tak
Mangta Hai

Thursday 17 October 2019

Mujhe Nafrat Hai


Mujhe Nafrat Hai Apne Hasaas Hone se

 Narrated By Atiqa


Mujhe Nafrat Hai
Apne Hasaas Hone Se
Mujhe Nafrat Hai
Log Mujhse Batein Karein
Aur Mera Khayal Rakhein
Yahan Tak Ke Mujhe
Unki Adat Ho Jaye
Mujhe Nafrat Hai
Ke Main Kisi Ke 
Baare Mein Ziada Sochon
Yahan Tak Ke Main Puri Raat
Kisi Ke Khayal Mein Guzar Doun
Mujhe Nafrat Hai
Iss Ehsas Se Ke 
Main Mehsos Karon Ke
Koi Mujhe Apni Adat Daal Kar
Mujhe Nazar Andaz Kar Raha Hai
Mujhe Nafrat Hai
Apne Hasaas Hone Se

Wednesday 16 October 2019

Usey Kehna Yeh Duniya Hai






Usey Kehna Yeh Duniya Hai

Narrated By Atiqa

Usey Kehna Yeh Duniya Hai
Yahan Har Morh Pe Aise
Bohat Se Log Milte Hain
Ju Andar Tak Utarte Hain
Abad Tak Sath Rehne Ki
Akathe Dard Sehne Ki
Hamesha Baat Karte Hain
Usey Kehna
Yeh Duniya Hai
Yahan Har Shakhs Matlab Ki
Haddon Tak Sath Chalta Hai
Junhy Mausam Badalta Hai
Mohabat Ke Sabhi Daway
Sabhi Qasmein
Sabhi waday
Sabhi Rasmein
Achanak Toot Jati Hain
Usey Kehna
Yeh Duniya Hai
Yahan Har Morh Pe Aise
Bohat Se Log Milte Hain

Wednesday 2 October 2019

Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar By Amar Alvi

Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar Acha Nahi Lagta




Ho Bulbul Tu Khushbo Ka Nagar Acha Nahi Lagta
Tumhare Bin Hamain Apna Bhi Ghar Acha Nahi Lagta
Tumhare Sang Kanton Par Bhi Chalna Acha Lagta Tha
Tumhare Baad Taaron Ka Safar Acha Nahi Lagta
Sulagti Dhoop Bhi Manzoor Hai Gar Sath Tera Ho
Hijr Mein Lakh Rangeeni Ho Par Acha Nahi Lagta
Na Ayein Jab Talak Chehre Pe Sare Rang Mohabat Ke
Tu Chahe Jitna Ban Sanwar Acha Nahi Lagta
Wo Den Ehd-e-Jawani Ka Amar Hai, Jab Kaha Tum Ne
Amar Se Pyar Hai Mujh Ko, Magar Acha Nahi Lagta


ہو بلبل تو خوشبو کا نگر اچھا نہیں لگتا
تمہارے بن ہمیں اپنا بھی گھر اچھا نہیں لگتا
تمہارے سنگ کانٹوں پر بھی چلنا اچھا لگتا تھا
تمہارے بعد تاروں کا سفر اچھا نہیں لگتا
سلگتی دھوپ بھی منظور ہے گر ساتھ تیرا ہو
ہجر میں لاکھ رنگینی ہو پر اچھا نہیں لگتا
نہ آئیں جب تلک چہرے پہ سارے رنگ محبت کے
تو چاہے جتنا بن سنور اچھا نہیں لگتا
وہ دن عہد جوانی کا امر ہے جب کہا تم نے
 امر سے پیار ہے مجھ کو مگر اچھا نہیں لگتا

Tumhara Den Dhale By Amir Yousaf

Tumhara Den Dhale


Tumhara Den Dhale Jun'hy, Hamari Shaam Kho Jaye
Ke Jaise Mey'kashon Ke Thamte Hy Jaam Kho Jaye
Hamara Dil Akela Ho Tumhari Shaam Kho Jaye
Kabhi Tanha Sunehri Shaam Ki Har Gaam Kho Jaye
Musafir Ki Tarah Bhulein Kabhi Yun'hy Sar-e-manzil
Ke Nikle Chand Badal Se Magar Wo Baam Kho Jaye
Haya'on Ki Ridaa Orhey Kabhi Yun Dil Mein Tum Utaro
Farishton Ki Tarah Hum Hoon Magar Alhaam Kho Jaye
Tumhy Ko Dhundne Phir Chand Bhi Jab Baam Se Nikle
Shajar Chup Chap Hon Aur Raaston Mein Shaam Kho Jaye
Sitare Chand Ko Bhulein Kahan, Labb Phool Bhi Kholein
Kisi Ka Chehra Kho Jaye, Kisi Ka Naam Kho Jaye
Safar Mein Har Gharhi Kuch Pal Hamare Sath Chalte Hain
Tumhari Yaad Ho Aur Sanwali Si Shaam Kho Jaye

تمہارا دن ڈھلے جونہی ہماری شام کھو جائے
کہ جیسے مہ کشوں کے تھامتے ہی جام کھو جائے
ہمارا دل اکیلا ہو تمہاری شام کھو جائے
کبھی تنہا سنہری شام کی ہر گام کھو جائے
مسافر کی طرح بھولیں کبھی یونہی سرِ منزل
کہ نکلے چاند بادل سے مگر وہ بام کھو جائے
حیاؤں کی ردا اوڑھے کبھی یوں دل میں تم اترو
فرشتوں کی طرح ہم ہوں مگر الہام کھو جائے
تمہی کو ڈھونڈنے پھر چاند بھی جب بام سے نکلے
شجر چپ چاپ ہوں اور راستوں میں شام کھو جائے
ستارے چاند کو بھولیں کہاں لب پھول بھی کھولیں
کسی کا چہرہ کھو جائے کسی کا نام کھو جائے
سفر میں ہر گھڑی کچھ پل ہمارے ساتھ چلتے ہیں
تمہاری یاد ہو اور سانولی سی شام کھو جائے

Monday 30 September 2019

Sad Poetry

Qataa


Muskurata Hoon Gham Chupata Hoon
Qouvat-e-zabt Azmata Hoon
Yaad Jab Bhi Teri Satati Hai
Naam Likh Kar Tera Mitata Hoon

مسکراتا ہوں غم چھپاتا ہوں
قوت ضبط آزماتا ہوں
یاد جب بھی تیری ستاتی ہے
نام لکھ کر ترا مٹاتا ہوں

Aashiq

Yeh Ju Ashiq Hote Hain



Yeh Ju Ashiq Hote Hain
Bohat Hy Kaam Atey Hain Zamane Ke
Ke Jaise Shajar Ke Patey
Ju Gir Kar Sookh Bhi Jaye
Tu Wo Bhi Kaam Atey Hain
Jalane Ke Zamane Ke
Apne Dil Ka Lahu Ley Kar
Yeh Ju Geet Likhte Hain
Yakeen Mano! Preet Likhte Hain
Bohat Hy Kaam Atey Hain
Dil Behlane Ke, Kisi Toote Deewane Ke Zamane Ke
Yeh Ju Kuch Bhi Likhte Hain Ya Kehte Hain
Bila Akhir Haqiqat Hai
Yeh Qayal Nahi Hote
Kisi Ki Daad Paney Ke , Nazrane Ke Zamane Ke
Na Hy Inn Ka Thikana Hai, Na Hy Kahin Jana Hai
Faqat Yeh Tu Mehma’n Thehre
Paimane Ke, Meh’Khane Ke Zamane Ke
Sabhi Ka Rog Apna Hai, Sabhi Ka Dard Apna Hai
Yeh Ju Bhi Shair Kehte Hain
Sabhi Alfaaz Bahane Hain
Dilon Ka Dard Ghatane Ke, Rog Mitane Ke Zamane Ke


یہ جو عاشق ہوتے ہیں
بہت ہی کام آتے ہیں زمانے کے
کہ جیسے شجر کے پتے
جو گر کر سوکھ بھی جائے
تو وہ بھی کام آتے ہیں
جلانے کے زمانے کے
اپنے دل کا لہو لے کر
یہ جو گیت لکھتے ہیں
یقیں مانو! پریت لکھتے ہیں
بہت ہی کام آتے ہیں
دل بہلانے کے کسی ٹوٹے دیوانے کے زمانے کے
یہ جو کچھ بھی لکھتے ہیں یا کہتے ہیں
بلاآخیر حقیقت ہے
یہ قائل نہیں ہوتے
کسی کی داد پانے کے نزرانے کے زمانے کے
نا ہی انکا ٹھکانا ہے نا ہی کہیں جانا ہے
فقط یہ تو مہماں ٹھہرے
پیمانے کے
مے خانےکے زمانے کے
سبھی کا روگ اپنا ہے سبھی کا درد اپنا ہے
یہ جو بھی شعر کہتے ہیں
سبھی
الفاظ بہانے ہیں
دلوں کا درد گھٹانے کے روگ مٹانے کے زمانے کے

Wednesday 28 August 2019

Ayesha Khan Poetry

Kyun Lagta Hai 



Kyun Lagta Hai Tera Andaz-e-Guftagu Ajnabi Sa
Tu Wohi Hai Ju Lagta Tha Kabhi Apna Sa

کیوں لگتا ہے تیرا اندازگفتگو اجنبی سا
تو وہی ہے جو لگتا تھا کبھی اپنا سا

Mohabat Ka Jaam


Mohabat Ka Jaam Hamein Bhi Peena Hai
Mohabat Ki Sabhi Haddon Se Guzarna Hai
Ishq Hamein Bhi Aisa Karna Hai
Heer Ranjha Sheerin Farhad Banna Hai
Yeh Mohabat Mein Jaan Dey Gaye Hain
Hamein Mohabat Ko Paa Kar Un Se Kehna Hai
Hamein Mohabat Mein Jaan Deni Nahi Hai
Mohabat Ko Paa Kar Sath Jeena Hai
Hamein Aisi Mohabat Karni Hai
Sab Mohabatein Apni Mohabat Par Qurban Karni Hain
Mohabat Se Ishq Ka Safar Teh Karna Hai
Sachi Mohabat Milti Kis Ko Hai
Hamein Bhi Ek Khush Naseeb Banna Hai
Aisi Sachi Mohabat Karni Hai
Jis Ke Sang Zindagi Beetani Hai
Mohabat Ka Jaam Hamein Bhi Peena Hai

محبت کا جام ہمیں بھی پینا ہے
محبت کی سبھی حدوں سے گزرنا ہے 
عشق ہمیں بھی ایسا کرنا ہے 
ہیر رانجھا شیریں فرہاد بننا ہے 
یہ محبت میں جان دے گئے ہیں 
ہمیں محبت کو پا کر ان سے کہنا ہے 
ہمیں محبت میں جان دینی نہیں ہے
محبت کو پا کر ساتھ جینا ہے
ہمیں ایسی محبت کرنی ہے
سب محبتیں اپنی محبت پر قربان کرنی ہیں 
محبت سے عشق کا سفر طے کرنا ہے 
سچی محبت ملتی کس کو ہے 
ہمیں بھی ایک خوش نصیب بننا ہے
ایسی سچی محبت کرنی ہے 
جس کے سنگ زندگی بیتانی ہے 
محبت کا جام ہمیں بھی پینا ہے

Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai


Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai
Khuwabon Ki Duniya Mein Rehne Ki
Raat Bhar Ashk Bahane Ki
Tanhai Mein Rehne Ki
Sab Ke Sath Khush Rehne Ki
Apne Ap Ko Thukraye Jane Ki
Jeet Ke Baad Haar Jane Ki
Kisi Ki Raah Takne Ki
Apne Adhure Pyar Ko Paane Ki
Haan Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai

مجھے عادت سی ہوگئی ہے
خوابوں کی دنیا میں رہنے کی
رات بھر اشک بہانے کی
تنہائی میں رہنے کی
سب کے ساتھ خوش رہنے کی
اپنے آپ کو ٹھکرائے جانے کی
جیت کے بعد ہار جانے کی
کسی کی راہ تکنے کی
اپنے ادھورے پیار کو پانے کی
ہاں مجھے عادت سی ہو  گئی ہے

Dard Ki Lehar


Dil Mein Uthti Hai Dard Ki Aisi Lehar
Ke Sab Khatam Ho Jaye Ga Issi Pehar
Ankhon Mein Chhayi Hai Hama Waqt Udasi
Kuch Waqt Hai Aisa Ya Apno Ka Pyar
Hum Laut Ayein Zindagi Ki Taraf, ,Yeh Chahte Hain Sab
Zindagi Mein Chha Gayi Hain Aisi Veeraniyan
Ke Koi Mitta Nahi Sakta Aisi Hai Dard Ki Lehar
Main Kya Hoon Khud Nahi Pata, Shayad Mehboob Ko Ho Iss Ki Khabar
Dil Mein Jama Liya Hai Daira Us Ki Khamoshi Ne Aisa Ayesha
Kya Wo Iss Se Anjan hai Ya Rakhta Hai Iss Ki Khabar

دل میں اٹھتی ہے درد کی ایسی لہر
کہ سب ختم ہو جائے گا اسی پہر
آنکھوں میں چھائ ہے ہمہ وقت اداسی
کچھ وقت ہے ایسا یا اپنوں کا پیار
ہم لوٹ آئیں زندگی کی طرف یہ چاہتے ہیں سب
زندگی میں چھا گئ ہیں ایسی ویرانیاں 
کہ کوئی مٹا نہیں سکتا ایسی ہے درد کی لہر 
میں کیا ہوں خود نہیں پتا شاید محبوب کو ہو اسس کی خبر 
دل میں جما لیا ہے ڈیرہ اس کی خاموشی نے ایسا عائشہ
کیا وہ اس سے انجان ہے یا رکھتا ہے اس کی خبر

Maa Ke Naam

Maa



Teri Karamat Se Hai Yeh Zindagi Meri
Teri Khidmat Mein Hy Hai Bandagi Meri
Tere Ehkaam Se Hai Yeh Sadgi Meri
Tu Ju Hai Tu Bas Hai Har Khushi Meri


تیری کرامت سے ہے یہ زندگی میری
تیری خدمت میں ہی ہے بندگی میری
تیرے احکام سے ہے یہ سادگی میری
تو جو ہے تو بس ہے ہر خوشی میری


Friday 16 August 2019

Likhna Chahti Hon Bohat Kuch Tum Par

Likhna Chahti Hon





لکھنا چاہتی ہوں
تم پر بہت کچھ
مگر قلم ساتھ نہیں دیتا
تم سے ملنے کے بہانے
ڈھونڈتی ہوں
مگر سو اندیشے راہ میں
دیوار بن جاتے ہیں
کبھی سوچتی ہوں
کہہ دوں سب کچھ
جو کچھ دل میں
چھپا رکھا ہے
ہر راز سے پردہ اُٹھا دوں
میں تم پر اپناآپ ظاہر کردوں
لیکن پھر یہ سوچ کر
خود کو روک لیتی ہوں
مل کر تشنگی بڑھ گئی تو
پھر کیا ہوگا
تو انجان بن کر ملا تو
دل ٹوٹے گا
ساتھ میں مان بھی
تجھ پر جو بہت ہے
وہ بھی خاک میں مل جائے گا
محبت پر انا غالب آجاتی ہے
ہمیں ہماری خودی بھی تو پیاری ہے
پھر سوچتی ہوں
کبھی اتفاقاً
تجھ سے سامنا ہوگیا تو
کیا ہوگا
کیا اجنبی بن جائینگے ہم
اور راہ بدل لینگے
یا نظروں سے پھر ایک دوجے کو
سیراب کرینگے
ہم تجھ سے کچھ نہ کہینگے
بس تجھے دیکھینگے
دل کو شاد کرینگے
mumkinتجھ سے
سنیں گے
کوئی گیت البیلا سا
اور پھر آگے بڑھ جائینگے
کیونکہ
ندی کے دوکنارے
ساتھ تو چلتے ہیں
کبھی ایک نہیں ہوتے
آسمان سے زمین کا ملا پھی تو
ممکن نہیں
پھر سوچتی ہوں
اچھا ہے
میں تم سے دور ہوں
من کی آنکھ سے تمہیں قریب دیکھوں
اور مورت بنا کر
من آنگن کے سنگھاسن پر بٹھالوں
چپ چاپ تمہیں
چاہوں
اور تمہیں خبر بھی نہ ہو
سوچتی ہوں فقط اتنا ہی
کیا تم بھی ایسا ہی سوچتے ہوگے
کیا کچھ میرے لئے بھی لکھا ہوگا
کیا مجھے بھی تم نے گنگنایا ہوگا
بس یونہی اکثر
ایسے ہی خیال آجاتا ہے
کچھ لکھنے بیٹھوں تو
تم پر بہت کچھ
لکھنے کو من کرتا ہے
پر قلم رک جاتا ہے
پر قلم رک جاتا ہے


Wednesday 14 August 2019

Asad's Poetry

Apna Maan Liya




Mere Yaar Ne Sach Pehchan Liya
Kon Hai Apna Paraya, Sab Jaan Liya
Karon Shukar Adaa Yaar Sajdon Se
Ke Us Ne Apna Hamein Aj Maan Liya
Raaz Khulte Hy Taivar Badalne Laga
Wo Pakra Gaya Us Ne Jaan Liya
Us Ne Awaz Di Dil Dharkane Laga
Kon Aya Hai Yeh Dil Ne Pehchan Liya
Yun Isharon Par Kab Tak Chalein Ge Tere
Hum Ne Kon Sa Hai, Tera Ehsan Liya?


میرے یار نے سچ پہچان لیا
کون
ہےاپنا پرایا سب جان لیا
کروں شکر ادا یار سجدوں سے
کہ اس نے اپنا ہمیں آج مان لیا
راز کھلتے ہی تیور بدلنے لگا
وہ پکڑا گیا اس نے جان لیا
اس نے آواز دی دل دھڑکنے لگا
کون آیا
ہے یہ دل نے پہچان لیا
یوں اشاروں پر کب تک چلینگے تیرے 
 
ہم نے کون سا ہےتیرا احسان لیا؟


Agar Unko Hamari Zarurat Nahi Hai





Agar Unko Hamari Zarurat Nahi Hai
Tu Apni Bhi Jeene Ki Hasrat Nahi Hai
Jis Se Wabasta Ho Hayat Saari
Us Se Jhoot Bolein Adat Nahi Hai
Acha Paigaam Bheja Na Ane Par Apne
Kehte Hain Zamane Se Fursat Nahi Hai
Sunte Hain Logon Ki Zabani Apna Qisaa
Wo Ke Jis Mein Koi Sadaqat Nahi Hai
Asad Pyar Hai Tujh Se Junoon Ki Hadd Tak
Ishq Hai Yeh Koi Wehshat Nahi Hai 

اگر ان کو ہماری ضرورت نہیں ہے
تو اپنی بھی جینے کی حسرت نہیں ہے
جس سے وابسطہ ہو حیات ساری
اس سے جھوٹ بولیں عادت نہیں ہے
اچھا پیغام بھیجا نہ آنے پر اپنے
کہتے ہیں زمانے سے فرصت نہیں ہے 
سنتے ہیں لوگوں کی زبانی اپنا قصہ
وہ کہ جس میں کوئی صداقت نہیں ہے 
اسد پیار ہےتجھ سے جنون کی حد تک
عشق ہے  یہ کوئی وحشت نہیں ہے

Hijr Ka Mausam




Hijr Ka Mausam Aur Upar Se Yeh Sawan
Kahan Ko Jaye Phir Yeh Deewana Tera?
Dil Apna Gham Ka Mara Aur Phir Be’Sahara
Kahan Phir Se Dhundein Koi Thikana Tera
Kya Pehle Kam The Jalwe Husan Ke Tere
Upar Se Aur Sitam Yeh Muskurana Tera
Tere Pyar Ki Khushboo Phaili Hai Har Sou
Bana Huwa Hai Dil Idhar Asad Deewana Tera
Doori Kyun Itni Ikhtiar Kiye Jate Ho
Jaan Le Ley Ga Yeh Door Jana Tera

ہجر کا موسم اور اوپر سے یہ ساون
کہاں کو جائے پھر یہ دیوانہ تیرا ؟؟؟
دل اپنا غم کا مارا اور پھر بے سہارا
کہاں پھر سے ڈھونڈیں کوئی ٹھکانہ تیرا
کیا پہلے کم تھے جلوے حسن کے تیرے
اوپر سے اور ستم یہ مسکرانا تیرا
تیرے پیار کی خوشبو پھیلی ہےہر سو
بنا ہوا
ہےدل ادھر اسد دیوانہ تیرا
دوری کیوں اتنی اختیار کیے جاتے ہو
جان لے لے گا یہ دور جانا تیرا

Teri Chahat Mein Yeh Dil 



Teri Chahat Mein Yeh Dil Deewana Ho Gaya
Pyar Ka Phir Se Shuru Afsana Ho Gaya
Tirshi Nazaron Ke Baand Chalne Lage
Dil Tha Ke Apna Yaar Nishana Ho Gaya
Tum Nahi Aye Muddaton Se Idhar
Tum Ko Dekhe Huwey Zamana Ho Gaya
Yeh Bhi Andaz Hain Kuch Teri Ulfat Ke
Chund Nakhre Huwey, Taivar Huwey, Sharmana Ho Gaya
Pyar Lafzon Mein Tu Biyan Nahi Ho Sakta
Chairhiye Zikr Tu Kehte Hain, Deewana Ho Gaya

تیری چاہت میں یہ دل دیوانہ ہوگیا
پیار کا پھر سے شروع افسانہ ہو گیا
ترچھی نظروں کے باند چلنے لگے
دل تھا کہ اپنا یار نشانہ ہوگیا
تم نہیں آئے مدتوں سے ادھر

تم کو دیکھ ہوئے ایک زمانہ ہو گیا
یہ بھی انداز ہیں کچھ تیری الفت کے
چند نخرے ہوئے تیور ہوئے شرمانہ ہوگیا
پیار لفظوں میں تو بیان نہیں ہوسکتا
چھیڑئے زکر تو کہتے ہیں دیوانہ ہوگیا


Salam 


Pyar Ka Pehla Salam Hai
Koi Khat Tumhare Naam Hai
Subha Ba'Khair Ae Zindagi
Ke Yeh Zindagi Tumhare Naam Hai
Khuda Salamat Rakhe Tum Ko
Ke Duaa Dena Apna Kaam Hai

پیار کا پہلا سلام ہے
کوئی خط تمہارے نام ہے
صبح بہ خیر اے زندگی
کہ یہ زندگی تمہارے نام ہے
خدا سلامت رکھے تم کو
کہ دعا دینا اپنا کام ہے

Thursday 8 August 2019

Mausam Poetry

Tum Mausam Mausam Lagte Ho



Tum Mausam Mausam Lagte Ho
Ju Pal Pal Rang Badalte Ho
Tum Sawan Sawan Lagte Ho
Ju Sadiyon Baad Baraste Ho
Tum Sapna Sapna Lagte Ho
Ju Mujh Ko Kam Kam Dikhte Ho
Tum Pal Pal Mujh Se Larhte Ho
Phir Bhi Ache Lagte Ho
Baat Tu Hai Sharmeeli Si
Par Kehne Ko Dil Chahta Hai
Lo Aj Tumhein Keh Dala
Tum Apne Apne Lagte Ho

تم موسم موسم لگتے ہو 
جو پل پل رنگ بدلتے ہو 
تم ساون ساون لگتے ہو 
جو صدیوں بعد برستے ہو 
تم سپنا سپنا لگتے ہو 
جو مجھ کو کم کم دکھتے ہو 
تم پل پل مجھ سے لڑتے ہو 
پھر بھی اچھے لگتے ہو 
بات تو ہے شرمیلی سی 
پر کہنے کو دل چاہتا ہے 
لو آج تمھیں کہہ ڈالا 
تم اپنے اپنے لگتے ہو