Wednesday 28 August 2019

Ayesha Khan Poetry

Kyun Lagta Hai 



Kyun Lagta Hai Tera Andaz-e-Guftagu Ajnabi Sa
Tu Wohi Hai Ju Lagta Tha Kabhi Apna Sa

کیوں لگتا ہے تیرا اندازگفتگو اجنبی سا
تو وہی ہے جو لگتا تھا کبھی اپنا سا

Mohabat Ka Jaam


Mohabat Ka Jaam Hamein Bhi Peena Hai
Mohabat Ki Sabhi Haddon Se Guzarna Hai
Ishq Hamein Bhi Aisa Karna Hai
Heer Ranjha Sheerin Farhad Banna Hai
Yeh Mohabat Mein Jaan Dey Gaye Hain
Hamein Mohabat Ko Paa Kar Un Se Kehna Hai
Hamein Mohabat Mein Jaan Deni Nahi Hai
Mohabat Ko Paa Kar Sath Jeena Hai
Hamein Aisi Mohabat Karni Hai
Sab Mohabatein Apni Mohabat Par Qurban Karni Hain
Mohabat Se Ishq Ka Safar Teh Karna Hai
Sachi Mohabat Milti Kis Ko Hai
Hamein Bhi Ek Khush Naseeb Banna Hai
Aisi Sachi Mohabat Karni Hai
Jis Ke Sang Zindagi Beetani Hai
Mohabat Ka Jaam Hamein Bhi Peena Hai

محبت کا جام ہمیں بھی پینا ہے
محبت کی سبھی حدوں سے گزرنا ہے 
عشق ہمیں بھی ایسا کرنا ہے 
ہیر رانجھا شیریں فرہاد بننا ہے 
یہ محبت میں جان دے گئے ہیں 
ہمیں محبت کو پا کر ان سے کہنا ہے 
ہمیں محبت میں جان دینی نہیں ہے
محبت کو پا کر ساتھ جینا ہے
ہمیں ایسی محبت کرنی ہے
سب محبتیں اپنی محبت پر قربان کرنی ہیں 
محبت سے عشق کا سفر طے کرنا ہے 
سچی محبت ملتی کس کو ہے 
ہمیں بھی ایک خوش نصیب بننا ہے
ایسی سچی محبت کرنی ہے 
جس کے سنگ زندگی بیتانی ہے 
محبت کا جام ہمیں بھی پینا ہے

Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai


Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai
Khuwabon Ki Duniya Mein Rehne Ki
Raat Bhar Ashk Bahane Ki
Tanhai Mein Rehne Ki
Sab Ke Sath Khush Rehne Ki
Apne Ap Ko Thukraye Jane Ki
Jeet Ke Baad Haar Jane Ki
Kisi Ki Raah Takne Ki
Apne Adhure Pyar Ko Paane Ki
Haan Mujhe Adat Si Ho Gayi Hai

مجھے عادت سی ہوگئی ہے
خوابوں کی دنیا میں رہنے کی
رات بھر اشک بہانے کی
تنہائی میں رہنے کی
سب کے ساتھ خوش رہنے کی
اپنے آپ کو ٹھکرائے جانے کی
جیت کے بعد ہار جانے کی
کسی کی راہ تکنے کی
اپنے ادھورے پیار کو پانے کی
ہاں مجھے عادت سی ہو  گئی ہے

Dard Ki Lehar


Dil Mein Uthti Hai Dard Ki Aisi Lehar
Ke Sab Khatam Ho Jaye Ga Issi Pehar
Ankhon Mein Chhayi Hai Hama Waqt Udasi
Kuch Waqt Hai Aisa Ya Apno Ka Pyar
Hum Laut Ayein Zindagi Ki Taraf, ,Yeh Chahte Hain Sab
Zindagi Mein Chha Gayi Hain Aisi Veeraniyan
Ke Koi Mitta Nahi Sakta Aisi Hai Dard Ki Lehar
Main Kya Hoon Khud Nahi Pata, Shayad Mehboob Ko Ho Iss Ki Khabar
Dil Mein Jama Liya Hai Daira Us Ki Khamoshi Ne Aisa Ayesha
Kya Wo Iss Se Anjan hai Ya Rakhta Hai Iss Ki Khabar

دل میں اٹھتی ہے درد کی ایسی لہر
کہ سب ختم ہو جائے گا اسی پہر
آنکھوں میں چھائ ہے ہمہ وقت اداسی
کچھ وقت ہے ایسا یا اپنوں کا پیار
ہم لوٹ آئیں زندگی کی طرف یہ چاہتے ہیں سب
زندگی میں چھا گئ ہیں ایسی ویرانیاں 
کہ کوئی مٹا نہیں سکتا ایسی ہے درد کی لہر 
میں کیا ہوں خود نہیں پتا شاید محبوب کو ہو اسس کی خبر 
دل میں جما لیا ہے ڈیرہ اس کی خاموشی نے ایسا عائشہ
کیا وہ اس سے انجان ہے یا رکھتا ہے اس کی خبر

No comments:

Post a Comment